phir apni zat ki tira-hadon se bahar aa
tu ab to zabt ke in shobadon se bahar aa
main dekh lunga tere asp tere zor-awar
bas ek bar tu apni hadon se bahar aa
dahak dahak ke bahalte dinon ke aansu ponchh
azan-e-gung mere gumbadon se bahar aa
tujhe main ghaur se dekhun main tujh se pyar karun
ai mere but tu mere but-kadon se bahar aa
tawil aur na kar ab visal ki saat
nawa-e-subh-e-safar mabadon se bahar aa
tu ab to phoD le aankhen tu ab to ro 'jawed'
tu ab to zabt ke in shobadon se bahar aa
Ghazal
Phir apni zat ki tira-hadon se bahar aa
Javaid Anwar