اردو हिंदी
Phir andheri rah mein koi diya mil jaega | Shaahi Shayari
phir andheri rah mein koi diya mil jaega

Ghazal

Phir andheri rah mein koi diya mil jaega

Hidayatullah Khan Shamsi

;

phir andheri rah mein koi diya mil jaega
tum akele ghar se niklo qafila mil jaega

tang-zarfi KHushk kar Dalegi dariya dekh le
hum ko kya koi samundar dusra mil jaega

kar raha hun main taaqub gardish-e-ayyam ka
ek na ek din zindagi tera pata mil jaega

aandhiyo aa jao khul kar main charagh-e-tur hun
mujh se Takrane ka tum ko bhi maza mil jaega

tang mat kar ai zamin kar den ishaara ek agar
aasmanon se bhi hum ko aasra mil jaega

sang-e-furqat mar kar mat jao mujh ko chhoD kar
dil ka shisha toDne se yar kya mil jaega

sahilon par rahne walo ek zara aawaz do
gharq hoti kashtiyon ko hausla mil jaega