phir aas de ke aaj ko kal kar diya gaya
honTon ke bich baat ko shal kar diya gaya
sadiyon ka phok jism sambhaale to kis tarah
jab umr ko nichoD ke pal kar diya gaya
ab to sanwarne ke liye hijr bhi nahin
sara wabaal le ke ghazal kar diya gaya
mujh ko meri majal se ziyaada junun diya
dhaDkan ki lai ko saz-e-ajal kar diya gaya
kaise bujhaen kaun bujhae bujhe bhi kyun
is aag ko to KHun mein hal kar diya gaya
Ghazal
Phir aas de ke aaj ko kal kar diya gaya
Sarwat Zehra