phir aai fasl-e-gul ai yar dekhiye kya ho
junun ka dil mein chubha KHar dekhiye kya ho
sab aashna hue us ke bichhaDte begane
hui hai be-kasi ab yar dekhiye kya ho
chaman mein bandhne ko aashiyana-e-bulbul
gulon ne jama kiye KHar dekhiye kya ho
hua hai ye dil-e-diwana qabil-e-zanjir
khule hain gesu-e-dildar dekhiye kya ho
wo sarw-qad ki mohabbat ka tauq jun qumri
hua hai mere gale haar dekhiye kya ho
wo 'uzlat' ab mera bujhega gham ki aarasi dekh
hua hai apna giraftar dekhiye kya ho

Ghazal
Phir aai fasl-e-gul ai yar dekhiye kya ho
Wali Uzlat