pher roz-e-firaq-e-yar aaya
nama-bar aah zar zar aaya
tere jaane se fitna ho tayyar
ba-sar-e-chashm ashk-bar aaya
jhaDa marqad pe mere jab daman
aasman ka goya ghubar aaya
mai se tauba to kar nahin sakta
kya karun mausam-e-bahaar aaya
mara jawega bhag ai naseh
dekh ye naznin sawar aaya
kisi maKHluq ko KHuda na dikhae
jo ki mujh par dar-intizar aaya
is ki bedad ka KHuda de ajr
hath mein le ke zul-fiqar aaya
kahta hai sar jhuka jo aashiq hai
main to ab mail-e-shikar aaya
'afridi' samajh hayat-e-abad
qatl ko tere gar wo yar aaya
peshwai ko is ki ja jaldi
kah ki hazir gunahgar aaya
tujhe 'qasim-ali' KHuda ki qasam
kaise zalim pe e'tibar aaya
Ghazal
Pher roz-e-firaq-e-yar aaya
Qasim Ali Khan Afridi

