اردو हिंदी
Phenki kisi ne kankari dil yak-ba-yak dariya hua | Shaahi Shayari
phenki kisi ne kankari dil yak-ba-yak dariya hua

Ghazal

Phenki kisi ne kankari dil yak-ba-yak dariya hua

Syed Amin Ashraf

;

phenki kisi ne kankari dil yak-ba-yak dariya hua
dariya mein ek sailab tha sailab tha umDa hua

dil mein koi aazar tha wo mujh se yun goya hua
aazurda-e-tasir hun dil de diya achchha hua

gahe ba-rang-e-mehrban gahe KHayal-e-bad-guman
wo bhi to aaKHir phul hai kanTon mein hai uljha hua

is tarah chashm-e-nim-wa ghafil bhi thi bedar bhi
jaise nasha ho raat ka ya subh ka taDka hua

lutf-e-nazar wo shai lagi jo jis qadar thi ajnabi
rasta na tha jaana hua chehra na tha dekha hua

ai KHatir-e-mehr-ashna us ke talawwun par na ja
ye be-ruKHi thi ek ada wo sarw tha sidha hua

wo ilm ho ya shairi wo faqr ho ya sarwari
hum jis qadar jhukte gae qad aur bhi uncha hua

jang-o-jadal ke waste aaKHir baDe kyun aa gae
bazicha-e-atfal tha jhagDa koi jhagDa hua