phenke hue be-kar khilaune ki tarah hun
main bagh ke ujDe hue goshe ki tarah hun
tu dil mein utarti hui KHushbu ki tarah hai
main jism se utre hue kapDe ki tarah hun
kuchh aur bhi din mujh ko samajhne mein lagenge
main KHwab mein dekhe hue raste ki tarah hun
saya sa ye kis chiz ka hai mere watan par
main kyun kisi sahme hue qisse ki tarah hun
main man hun satai hui had darja bahu ki
aur beTe pe aae hue ghusse ki tarah hun
ho jaen kabhi ja ke wahin sindh kinare
baaten koi do chaar jo pahle ki tarah hun
ab to kisi mahkar ki yaadon ka safar hai
aur main kisi bhule hue qisse ki tarah hun
jis mein koi dar hai na daricha na makin hai
us ghar pe lagae hue pahre ki tarah hun
kya hogi talafi mere nuqsan ki 'aKHtar'
main qaid mein guzre hue arse ki tarah hun

Ghazal
Phenke hue be-kar khilaune ki tarah hun
Saeed Ahmad Akhtar