اردو हिंदी
Phaila hua hai bagh mein har samt nur-e-subh | Shaahi Shayari
phaila hua hai bagh mein har samt nur-e-subh

Ghazal

Phaila hua hai bagh mein har samt nur-e-subh

Parveen Umm-e-Mushtaq

;

phaila hua hai bagh mein har samt nur-e-subh
bulbul ke chahchahon se hai zahir surur-e-subh

baiThe ho tum jo chehre se ulTe naqab ko
phaila hua hai chaar taraf shab ko nur-e-subh

bad-qismaton ko gar ho mayassar shab-e-visal
suraj ghurub hote hi zahir ho nur-e-subh

pau phaTte hi riyaz-e-jahan KHuld ban gaya
ghilman-e-mahr sath liye aai hur-e-subh

murgh-e-sahar adu na moazzin ki kuchh KHata
'parwin' shab-e-visal mein sab hai futur-e-subh