phail raha hai ye jo KHali hone ka Dar mujh mein
aaKHir-kar simaT aaega mera bahar mujh mein
ro dunga to ashk nahin aankhon se ret bahegi
KHun kahan kuchh sukhe dariya hain sahra bhar mujh mein
pahron jalta rahta hun main jaise koi suraj
ek kiran jab ruk jati hai tujh se chhan kar mujh mein
tu maujud hai main madum hun is ka matlab ye hai
tujh mein jo napaid hai pyare wo hai mayassar mujh mein
qatra Thik hai dariya hone mein nuqsan bahut hai
dekh to kaise Dub raha hai mera lashkar mujh mein
Ghazal
Phail raha hai ye jo Khaali hone ka Dar mujh mein
Ahmad Shahryar