peshani-e-hayat pe kuchh aise bal paDe
hansne ko dil ne chaha to aansu nikal paDe
rahne do mat bujhao mere aansuon ki aag
is kashmakash mein aap ka daman na jal paDe
hans hans ke pi raha hun isi tarah ashk-e-gham
yun dusra piye to kaleja nikal paDe
'nashtar' wo ahl-e-ishq bhi hain kitne tang-nazar
un ki zaban nam mera sun ke jal paDe
Ghazal
Peshani-e-hayat pe kuchh aise bal paDe
Nashtar Khaanqahi