pesh-e-idrak meri fikr ke shane khul jaen
har taraf aalam-e-imkan ke bahane khul jaen
tujh pe mauquf hai duniya ki tahi-damani
tu jo khul jae to aalam ke KHazane khul jaen
phir se aankhon ko meri nur-e-basirat ho ata
is sanam-KHane mein phir aaina-KHane khul jaen
sham-e-hasti hui bedar falak se kah do
azhdahan-e-shab-e-zulmat ke dahane khul jaen
ab koi dast-e-rifaqat na rakhe sine par
ain mumkin hai ki zaKHmon ke muhane khul jaen
adh-khuli aankh mein raqsan hai gham-e-mustaqbil
band ho aankh to gum-gashta zamane khul jaen
tu agar fikr ki parwaz ko baKHshe rifat
kaun jaane ki kahan kitne Thikane khul jaen
lab-kusha hon to bikhar jaen fasane kitne
chup jo ho jaun to auraq purane khul jaen
is aqidat ko mohabbat se badal le 'salim'
kya pata kab teri tasbih ke dane khul jaen
Ghazal
Pesh-e-idrak meri fikr ke shane khul jaen
Salim Shuja Ansari