اردو हिंदी
Pesh-e-ashiq chashm-e-giryan-o-lab-e-KHandan hai ek | Shaahi Shayari
pesh-e-ashiq chashm-e-giryan-o-lab-e-KHandan hai ek

Ghazal

Pesh-e-ashiq chashm-e-giryan-o-lab-e-KHandan hai ek

Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi

;

pesh-e-ashiq chashm-e-giryan-o-lab-e-KHandan hai ek
jal gaya jo naKHl us ko barq aur baran hai ek

dekhne deta nahin us ko hijab-e-ishq hae
hun main wo mahrum jis ko wasl aur hijran hai ek

na-tawani se tere bimar ke ruKHsar par
saili-e-dast-e-sitam aur saya-e-mizhgan hai ek

pairahan mein yun badan hai jis tarah se tan mein ruh
chashm-e-bad dur ab latafat mein wo jism-o-jaan hai ek

mah se tashbih phir tujh ko na kyun kar dijiye
chandni aur saya tera ai mah-e-taban hai ek

aap se behtar ki aage KHud-numai hai zubun
ru-ba-ru-e-mehr mah-o-abr-e-be-baran hai ek

chahiye hans kar chhiDakna ai lab-e-jaanan namak
aatish-e-gham se kabab aur ye dil-e-sozan hai ek

aashiqon ke aage mushrik ai but-e-yakta hun main
gar kahun main husn mein tu aur mah-e-kanan hai ek

saikDon tuti-zaban hain yan asir-e-dam-e-gham
KHana-e-sayyaad aur ye gumbad-e-gardan hai ek

ek hi ye nur hai dil mein har ek ke jalwa-gar
shishe hain lakhon pari sab mein wale pinhan hai ek