اردو हिंदी
PeD par jaane kis ka dhyan paDa | Shaahi Shayari
peD par jaane kis ka dhyan paDa

Ghazal

PeD par jaane kis ka dhyan paDa

jaanaan malik

;

peD par jaane kis ka dhyan paDa
ek patthar kahin se aan paDa

ek hijrat to mujh ko thi darpesh
hijr bhi us ke darmiyan paDa

ye shab-e-tar-tar meri rida
ye sitaron ka saeban paDa

ek palDe mein rakh diya tujh ko
dusre mein tha ek jahan paDa

kaisi Thokar lagi ye sapne mein
aankh par kis ka ye nishan paDa

ek muTThi mein phir zamin simTi
ek aansu mein aasman paDa

zindagi yaad aa gai mujh ko
phir teri samt mera dhyan paDa

tu ne nam-o-nishan diya mujh ko
mera hona tha be-nishan paDa

girte rahte hain is mein sham-o-sahar
bharta rahta hai KHak-dan paDa

ye hai kashti wajud ki 'jaanan'
ye phaTa dil ka baadban paDa