peD girta hai to jo us pe guzar hoti hai
ek sae ke siwa kis ko KHabar hoti hai
husn hota hai kisi shai ka koi apna hi
aur phir dekhne wale ki nazar hoti hai
hum nahin tirgi se KHaufzada hone ke
jaante hain ki har ek shab ki sahar hoti hai
aap ne us ke fasane hi sune hote hain
aur achanak ye bala aap ke sar hoti hai
mere ashaar us aawaz ki hain gunj faqat
wo ek aawaz jo dil TuTne par hoti hai

Ghazal
PeD girta hai to jo us pe guzar hoti hai
Tarkash Pradeep