اردو हिंदी
Pau phaTi ek taza kahani mili | Shaahi Shayari
pau phaTi ek taza kahani mili

Ghazal

Pau phaTi ek taza kahani mili

Farooq Shafaq

;

pau phaTi ek taza kahani mili
KHairiyat us ki din ki zabani mili

koi rahat na hum ko zamini mili
jo bhi saughat thi aasmani mili

qaid-e-diwar-o-dar se jo mahfuz hai
aise ghar ki hamein pasbani mili

koi patta na khaDka kahin raat-bhar
har taraf KHauf ki hukmarani mili

aur bhi log the shahr-e-bimar mein
ek hamin ko magar tarjumani mili