patthar paDe hue kahin rasta bana hua
hathon mein tere ganw ka naqsha bana hua
aankhon ki aabju ke kinare kisi ka aks
pani mein lag raha hai parinda bana hua
sahra ki garm dhup mein bagh-e-bahisht hai
tinkon se tere hath ka pankha bana hua
sandal ke itr se teri mehndi gundhi hui
sone ke tar se mera sehra bana hua
yaadon se le raha hun hinai mahak ka lutf
Table pe rakh ke laung ka qahwa bana hua
mele mein nachti hui jaTTi ke raqs par
yaron ke darmiyan hai jhagDa bana hua

Ghazal
Patthar paDe hue kahin rasta bana hua
Rashid Ameen