patthar pani ho jate hain
log kahani ho jate hain
nae nae chehre wale bhi
baat purani ho jate hain
ishq ki rut mein sare bhikari
raja-rani ho jate hain
sham samay lau ke jhonke bhi
pawan suhani ho jate hain
sukh ka mausam jab aata hai
jism bhi pani ho jate hain
sukhe patte gai ruton ke
nai nishani ho jate hain
hum to us ki baaten sun kar
pani pani ho jate hain

Ghazal
Patthar pani ho jate hain
Asad Badayuni