patthar ko pujte the ki patthar pighal paDa
pal bhar mein phir chaTTan se chashma ubal paDa
jal thal ka KHwab tha ki kinare Dubo gaya
tanha kanwal bhi jhil se bahar nikal paDa
aaine ke visal se raushan hua charagh
par lau se is charagh ki aaina jal paDa
guzra guman se KHat-e-faramoshi-e-yaqin
aur aaine mein silsila-e-aks chal paDa
mat puchhiye ki kya thi sada wo faqir ki
kahiye sukut-e-shahr mein kaisa KHalal paDa
baqi rahunga ya nahin socha nahin 'said'
apne madar se yunhi ek din nikal paDa
Ghazal
Patthar ko pujte the ki patthar pighal paDa
Saeed Ahmad