اردو हिंदी
Pata mila hai wo tha mera ham-safar bahut der baad ja kar | Shaahi Shayari
pata mila hai wo tha mera ham-safar bahut der baad ja kar

Ghazal

Pata mila hai wo tha mera ham-safar bahut der baad ja kar

Jafar Shirazi

;

pata mila hai wo tha mera ham-safar bahut der baad ja kar
kahan kahan se mili hai mujh ko KHabar bahut der baad ja kar

main muddaton saqf-e-zindagi par khaDe khaDe tum ko dekh aaya
ye tum bhi kya ho ki aae mujh ko nazar bahut der baad ja kar

meri tamanna hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraen
ki dekhna hai ye raushni ka safar bahut der baad ja kar

mujhe batao main kyun na is uThti dhul ke sath baiTh jaun
mujhe KHabar hai wo aaega baam par bahut der baad ja kar

KHarab mausam mein har shajar se larazte patton ne kya kaha tha
ki phul aane lage hain ab shaKH par bahut der baad ja kar

qayamaton ki tarah guzarenge ye mah-o-sal hijraton ke
tamam hoga judaiyon ka safar bahut der baad ja kar

meri ghazal mein jab aae 'jafar' nazar unhen marke hunar ke
hue mere mo'tarif sab ahl-e-nazar bahut der baad ja kar