pasheman hain tark-e-mohabbat ke baad
baDhin uljhanen aur fursat ke baad
abhi to qayamat ka hai aasra
KHuda jaane kya ho qayamat ke baad
ye husn-e-KHulus-e-shikayat baja
magar kya rahega shikayat ke baad
wo har bar milte hain is shan se
mile jis tarah koi muddat ke baad
mohabbat se pahle ye aalam na tha
kahan aa gae hum mohabbat ke baad
'rawish' ye KHush-ahang rang-e-ghazal
dil-awez hai rang-e-hasrat ke baad
Ghazal
Pasheman hain tark-e-mohabbat ke baad
Ravish Siddiqi

