pas-e-marg-e-tamanna kaun dekhe
mere naqsh-e-kaf-e-pa kaun dekhe
koi dekhe meri aankhon mein aa kar
magar dariya mein sahra kaun dekhe
ab is dasht-e-talab mein kaun aae
sarabon ka tamasha kaun dekhe
agarche daman-e-dil hai darida
darun-e-naKHl-e-taza kaun dekhe
bahut marbut rahta hun main sab se
meri be-rabt duniya kaun dekhe
shumar-e-ashk-e-sham-e-bazm mumkin
hamara dil pighalta kaun dekhe
main kya dekhun ki tum aae ho milne
khuli aankhon se sapna kaun dekhe
main jaisa hun main waisa to nahin hun
magar jaisa hun waisa kaun dekhe
Ghazal
Pas-e-marg-e-tamanna kaun dekhe
Mohammad Ahmad