parwa nahin us ko aur mue hum
kyun aise pe mubtala hue hum
go pise hi Dale jun hina wo
par chhoDen na panw bin chhue hum
mizhgan-e-daraaz us ki kar yaad
sine pe gaDote hain sue hum
rone se makan-e-KHana bole
bas lakh jagah se ab chue hum
ek bazi-e-ishq se hain aari
khele hain wagarna sab jue hum
KHuban ko bin us ke dekhen kya KHak
maTi ke samajhte hain thue hum
dam aankhon mein aa raha hai, lo jaan
jald aao wagarna ab mue hum
uTh jaane se us ke 'jurat' ai wae
malum nahin ki kya hue hum
Ghazal
Parwa nahin usko aur mue hum
Jurat Qalandar Bakhsh