parinde hote agar hum hamare par hote
zara si der mein ek dusre ke ghar hote
bala se hijr ki raaten tawil-tar hotin
magar na wasl ke din itne muKHtasar hote
hum apne markaz-o-mehwar se kaT gae warna
us ek dar ke jo hote na dar-ba-dar hote
tumhaari chah mein itna to hum se ho sakta
tumhaari rah mein phulon bhara shajar hote
amir-e-dasht ka sunsan rasta hota
aur ek sham ko hum donon ham-safar hote

Ghazal
Parinde hote agar hum hamare par hote
Raoof Ameer