pareshan raat sari hai sitaro tum to so jao
sukut-e-marg tari hai sitaro tum to so jao
hanso aur hanste hanste Dubte jao KHalaon mein
hamin pe raat bhaari hai sitaro tum to so jao
hamein to aaj ki shab pau phaTe tak jagna hoga
yahi qismat hamari hai sitaro tum to so jao
tumhein kya aaj bhi koi agar milne nahin aaya
ye bazi hum ne haari hai sitaro tum to so jao
kahe jate ho ro ro kar hamara haal duniya se
ye kaisi raazdari hai sitaro tum to so jao
hamein bhi nind aa jaegi hum bhi so hi jaenge
abhi kuchh be-qarari hai sitaro tum to so jao
Ghazal
Pareshan raat sari hai sitaro tum to so jao
Qateel Shifai