اردو हिंदी
Pareshan ai zulf-e-bahar-dam na ho | Shaahi Shayari
pareshan ai zulf-e-bahar-dam na ho

Ghazal

Pareshan ai zulf-e-bahar-dam na ho

Joshish Azimabadi

;

pareshan ai zulf-e-bahar-dam na ho
sinan-e-mizha ki tu parcham na ho

tabibo yahi aarzu hai mujhe
sar-e-dagh par pa-e-marham na ho

mara haal darham na ho is qadar
jo zulf-e-siyah us ki barham na ho

jafa-kar ho teri daulat ziyaad
mera aah-o-nala kabhi kam na ho

jalun shama-san garmi-e-ishq se
dam-e-sard mera jo be-dam na ho

wahi dam dam-e-aKHiri ho mera
teri yaad mein sarf jo dam na ho

safa-parwaran shola-ru mil chuka
kabhi aag aur pani baham na ho

labon par tere dant to hai magar
Darun hun kahin ye shakar sam na ho

sada ru-ba-ru hai wo KHurshid-ru
kabhi KHushk ye dida-e-nam na ho

na sajda kare koi mehrab ko
sar us ka tawazo se gar KHam na ho

gham us ka jo ho KHana-pardaz-e-dil
to 'joshish' kasi chiz ka gham na ho