parda paDa hua tha KHudi ne uTha diya
apni hi marifat ne tumhaara pata diya
dar dar ki Thokaron ne sharaf ko miTa diya
qudrat ne kyun gharib ko insan bana diya
apne wajud ka bhi to koi subut ho
main tha kahan ki mujh ko kisi ne miTa diya
allah re jabha sai-e-KHak-e-harim-e-dost
bande ko banda sajde ko sajda bana diya
his murda thi hayat-e-musalsal mein zist ki
taKHrib-e-zindagi ne payam-e-baqa diya
phir us ke ghar mein ho na saki raushni kabhi
jis ka charagh tu ne jala kar bujha diya
koi KHushi KHushi nahin apne liye 'shafiq'
kis ki nigah ne sabaq-e-gham paDha diya

Ghazal
Parda paDa hua tha KHudi ne uTha diya
Shafiq Jaunpuri