parda-e-ruKH kya uTha har-su ujale ho gae
sab andhere daman-e-shab ke hawale ho gae
main ne jab chaha ki hon sairab dil ki hasraten
sare lamhe zindagi ke KHushk pyale ho gae
bughz-o-nafrat ke dhuwen se ghuT rahe the sab ke dam
jal gain jab pyar ki shamen ujale ho gae
hasraton ko manzilen mil jaen mumkin hi nahin
KHwahishon ke raste ab aur kale ho gae
ab kahin aisa na ho nasur ban jaen ye sab
dil pe jitne bhi nishan the wo to chhaale ho gae
mujh ko maidan-e-musibat mein akela dekh kar
mujh se aage meri himmat ke risale ho gae
sanp ki manind ye bhi ek din Das jaega
chashm-e-hasrat mein bahut din KHwab pale ho gae
ek koshish aur kar ke dekhte 'shaarib'-miyan
ab bahut din aap ko kichaD uchhaale ho gae

Ghazal
Parda-e-ruKH kya uTha har-su ujale ho gae
Sharib Mauranwi