اردو हिंदी
Parchhaiyon ki baat na kar rang-e-haal dekh | Shaahi Shayari
parchhaiyon ki baat na kar rang-e-haal dekh

Ghazal

Parchhaiyon ki baat na kar rang-e-haal dekh

Shamim Hanafi

;

parchhaiyon ki baat na kar rang-e-haal dekh
aankhon se ab hawa-o-hawas ka maal dekh

do sher jis ke qahr ki jangal mein dhum thi
meri nashist-gah mein ab us ki khaal dekh

KHushbu ki tarah gunj uTha harf-e-agahi
ai dil zara hisar-e-nafas ka zawal dekh

tujh se qarib aae to apni KHabar na thi
duri ka ye azab ba-rang-e-visal dekh

bujhti hui sada ki tarah KHud mein Dub ja
pesh-e-nigah jab bhi tamanna ka jal dekh

palkon mein tez dhup ka manzar sameT le
phir kasa-e-badan mein lahu ka ubaal dekh