اردو हिंदी
Parchhaiyon ke shahr zamin par basa diye | Shaahi Shayari
parchhaiyon ke shahr zamin par basa diye

Ghazal

Parchhaiyon ke shahr zamin par basa diye

Anjum Ansari

;

parchhaiyon ke shahr zamin par basa diye
badli haTa ke chand ne jangal saja diye

kitne hi daeron mein baTa markaz-e-KHayal
ek but ke hum ne saikaDon paikar bana diye

TuTe kisi tarah to fazaon ka ye jumud
aandhi ruki to hum ne nasheman jala diye

ab raston ki gard se aTte nahin badan
naqsh-e-qadam asir-e-gul-e-tar bana diye

ek chand ki talash mein ghume nagar nagar
lauTe to aasman ne sitare bujha diye

bazi to hum ne aaj bhi haari nahin huzur
nazren bacha ke aap ne mohre uTha diye

Thahri hui hawa mein bhaDakte nahin charagh
jhonkon ne lau baDhai diye jagmaga diye

'anjum' labon mein jazb huin talKHiyan tamam
murjha gai bahaar jo hum muskura diye