palkon se aasman ko ishaara karo kabhi
aansu hamare gham ka sitara karo kabhi
mausam jawan hua hai bahaaron ke nur se
hathon mein hath Dale nazara karo kabhi
tanhaiyon ki raaton mein ab hum se sharm kya
malbus KHamushi ka utara karo kabhi
dahliz par khaDe yun sar-e-rah-e-raftagan
apna bhi intizar gawara karo kabhi
dil shai ajib hai kahin hum lauT hi na jaen
is ehtiyat se na pukara karo kabhi
ye jaan tumari nazr hai chahe to jaan lo
ye dil tumhaara ghar hai sanwara karo kabhi
Ghazal
Palkon se aasman ko ishaara karo kabhi
Nazir Wahid