palkon pe saj rahe hain jo moti na roliye 
jauhar hain gham ke gham ke taraazu mein toliye 
sham-e-gham-e-firaq ke pahlu mein baiTh kar 
aai kisi ki yaad to chupke se ro liye 
mundi gain jo aankhen to aae wo dekhne 
aa kar bhi kah na pae ki aankhen to kholiye 
dekha jo qadr gham ki nahin hai jahan mein 
le kar wo bij dil mein mohabbat se bo liye 
jage hue the hum jo tamanna ke bab mein 
subh-e-murad pa ke achanak hi so liye 
likkha hua tha kal bhi wafa ke mazar par 
aae ho dar pe dil ke to haule se kholiye 
dekha jo dil ko chup to wafaon ne ye kaha 
itni tawil shab hai are kuchh to boliye
        Ghazal
Palkon pe saj rahe hain jo moti na roliye
Owaisul Hassan Khan

