palkon pe le ke bojh kahan tak phira karun
ai KHwab-e-raegan main bata tera kya karun
wo hai ba-zid usi pe ki main iltija karun
kuchh to bata ai meri ana ab main kya karun
pane ki jidd-o-johd mein umren guzar gain
ek bar tujh ko khone ka bhi hausla karun
har aane wala bazm mein teri hai mohtaram
tazim ko main sab ki kahan tak uTha karun
har ek waraq hai tujh se shurua is kitab ka
tu hi bata kahan se main ab ibtida karun
hai zer-e-ghaur apni hi chahat ka ehtisab
teri wafa pe kya main abhi tabsira karun
Ghazal
Palkon pe le ke bojh kahan tak phira karun
Javed Naseemi