اردو हिंदी
PalaT ke daur-e-zaman subh-o-sham paida kar | Shaahi Shayari
palaT ke daur-e-zaman subh-o-sham paida kar

Ghazal

PalaT ke daur-e-zaman subh-o-sham paida kar

Shatir Hakeemi

;

palaT ke daur-e-zaman subh-o-sham paida kar
nae tariq se duniya mein nam paida kar

tera mazaq uDate hain dekhne wale
agar nizam ghalat ho nizam paida kar

nazar ko tur bana dil ko markaz-e-asrar
gham-e-alast se aish-e-dawam paida kar

sukun maut ki tamhid hai zamane mein
lahu mein harakat o soz-e-tamam paida kar

nasim-e-subh ki manind muskuraata chal
gulon ki tarah zamana mein nam paida kar

falak bhi teri bulandi ko pa nahin sakta
hawas ko chhoD ke lekin maqam paida kar

amin-e-husn jahan-tab hai teri hasti
jahan mein puKHtagi-e-ishq-e-KHam paida kar

KHuda ke nam pe duniya ko luTne wale
KHudi ka dil mein zara ehtimam paida kar

adu bhi naz uThae wo kaam kar 'shatir'
zamana sar ko jhuka de wo nam paida kar