اردو हिंदी
PalaT kar dekhne ka mujh mein yara hi nahin tha | Shaahi Shayari
palaT kar dekhne ka mujh mein yara hi nahin tha

Ghazal

PalaT kar dekhne ka mujh mein yara hi nahin tha

Arshad Jamal u0027Sarimu0027

;

palaT kar dekhne ka mujh mein yara hi nahin tha
nahin aisa ki phir us ne pukara hi nahin tha

samundar ki har ek shai par hamari dastaras thi
ki tughyani bhi apni thi kinara hi nahin tha

wo ek lamha saza kaTi gai thi jis ki KHatir
wo lamha to abhi hum ne guzara hi nahin tha

wo ban kar chand tab utra tha is dil ki zamin par
mohabbat ka jab aankhon mein sitara hi nahin tha

wara-e-jism tha kuchh aur bhi us ke jilau mein
faqat wo raushni ka istiara hi nahin tha

junun ke panw mein chhan kaisi dar aai ki main ne
abhi wahshat ko sahra mein utara hi nahin tha