palak palak sail-e-gham ayan hai na koi aahaT na koi halchal
kasak ye kaisi darun-e-jaan hai na koi aahaT na koi halchal
hamari basti mein har taraf inqalab-e-nau ka amal tha jari
na jaane ye kaun sa jahan hai na koi aahaT na koi halchal
lahu uchhalne ka shor jaise faza mein gunja kabhi nahin tha
ye hukm-e-shahr-e-sitamgaran hai na koi aahaT na koi halchal
ho subh-e-raushan ki sham-e-rangin kisi mein koi kashish nahin hai
har ek KHwahish dhuan dhuan hai na koi aahaT na koi halchal
nae zamane ki main bashaarat ka muntazir hun magar abhi tak
hayat aise rawan-dawan hai na koi aahaT na koi halchal
hujum-e-saut-o-sada saDak par julus ban kar nikal paDa hai
samaaton ka ye imtihan hai na koi aahaT na koi halchal
main apne andar jahan chhupa hun koi na pahuncha wahan abhi tak
sukut har samt be-karan hai na koi aahaT na koi halchal
faza ki raunaq zamin ki saj dhaj qalam ki jumbish pe munhasir hai
ajib pabandi-e-zaban hai na koi aahaT na koi halchal
mere tasawwur ki nilgun jhil mein ek tara jahan gira tha
wahan KHamoshi bala-e-jaan hai na koi aahaT na koi halchal
baDhun to aage dhuen ke baadal haTun to pichhe balaon ke dal
ye kaisa manzar yahan wahan hai na koi aahaT na koi halchal
sukut sine mein aisa kab tha guman bhi guzre na dhaDkanon ka
KHuda hi jaane ki dil kahan hai na koi aahaT na koi halchal
Ghazal
Palak palak sail-e-gham ayan hai na koi aahaT na koi halchal
Nusrat Gwaliari