pairahan-e-rangin se shoala sa nikalta hai
masum hai kya jaane daman kahin jalta hai
meri mizha-e-gham par larzan hai haqiqat si
un ke lab-e-lalin par afsana machalta hai
achchhi hai rahe thoDi ye jalwa-taraazi bhi
raqs-e-mah-o-anjum mein diwana bahalta hai
unwan-e-taraqqi hai ye tira-fizai bhi
kuchh gard bhi uThti hai jab qafila chalta hai
hai sham abhi kya hai bahki hui baaten hain
kuchh raat Dhale saqi mai-KHana sambhalta hai
bas dekh chuki duniya ye bazm-farozi bhi
rakkha hai charagh aisa bujhta hai na jalta hai
ek sehr-e-shabistan hai ye fann-e-jahan-rani
duniya hai ki soti hai jadu hai ki chalta hai
aflas ke aansu se tufan bhi larazte hain
shoalon ka jigar goya shabnam se dahalta hai
mutrib-ba-lab-e-lalin saqi-ba-mai-o-mina
is garmi-e-mahfil mein iman pighalta hai
Ghazal
Pairahan-e-rangin se shoala sa nikalta hai
Nushur Wahidi