paida hua ye habab kaisa
dariya mein hai pech-o-tab kaisa
ab fasl-e-junun kahan hai baqi
phir dekh raha hun KHwab kaisa
tha dast-e-hunar mein mom sa jo
pathra gaya wo shabab kaisa
sim-sim ki sada pe khul raha tha
tha halqa-e-dar-e-sarab kaisa
ek ek waraq paDha hua sa
hai nusKHa-e-intiKHab kaisa
partaw se tere wajud mera
aaghosh mein le hijab kaisa
kya jaane hamari talKH-kaami
hai zaiqa-e-sharab kaisa
KHushbuen tawaf kar rahi thin
tha pichhle pahar KHitab kaisa
qatra qatra chamak raha hai
raushan hua zer-e-ab kaisa
main apne KHilaf ho gaya hun
nazil hua ye azab kaisa
muddat se hai band qufl-e-abjad
ai muhtasibo hisab kaisa
sab mauj-e-hawa mein rang us ke
ai momino ijtinab kaisa
diwar ka bojh baam par hai
ye ghar bhi hua KHarab kaisa
Ghazal
Paida hua ye habab kaisa
Abul Hasanat Haqqi

