pahnae-bar-o-bahr ke mahshar se nikal kar
dekhun kabhi maujud o mayassar se nikal kar
aae koi tufan guzar jae koi sail
ek shola-e-be-tab hun patthar se nikal kar
aaankhon mein damak uTThi hai taswir-e-dar-o-baam
ye kaun gaya mere barabar se nikal kar
ta-der raha zaiqa-e-marg labon par
ek nind ke TuTe hue manzar se nikal kar
har rang mein isbaat-e-safar chahiye 'sarwat'
miTTi pe dharo panw samundar se nikal kar
Ghazal
Pahnae-bar-o-bahr ke mahshar se nikal kar
Sarvat Husain