pahlu mein chain se dil-e-muztar na rah saka
dam bhar na ruk saka ye ghaDi bhar na rah saka
ab iztirab had se hamara guzar gaya
rakkha jo hum ne hath to dilbar na rah saka
tum le ke pherte ho jo dil kuchh sabab bhi hai
kyun-kar na rakh sake ise kyun-kar na rah saka
main hun ki naqsh-e-pa hun saba ho ki muddai
un ki gali mein koi bhi jam kar na rah saka
ai 'nuh' ab kahan ise le ja ke phenk dun
lo un ke pas bhi dil-e-muztar na rah saka
Ghazal
Pahlu mein chain se dil-e-muztar na rah saka
Nooh Narvi