pahlu mein baiTh kar wo pate kya
dil to tha hi nahin churaate kya
hijr mein gham bhi ek neamat hai
ye na hota to aaj khate kya
murgh-e-dil hi ka kuchh raha mazkura
aur be-par ki wan uDate kya
rah ki chheD-chhaD KHub nahin
wo bigaDta to hum banate kya
sadma hasil hua alam lae
aur kuche se us ke late kya
shaiKH-ji kahte hain ghina ko haram
un se puchho to hain ye gate kya
laghar hi se kafan mein tha bhi main
meri mayyat ko wo uThate kya
KHak us kuche ki na la rakhte
to 'saKHi' qabr mein bichhate kya

Ghazal
Pahlu mein baiTh kar wo pate kya
Sakhi Lakhnvi