اردو हिंदी
Pahli mohabbaton ke zamane guzar gae | Shaahi Shayari
pahli mohabbaton ke zamane guzar gae

Ghazal

Pahli mohabbaton ke zamane guzar gae

Khatir Ghaznavi

;

pahli mohabbaton ke zamane guzar gae
sahil pe ret chhoD ke dariya utar gae

teri ana niyaz ki kirnen bujha gai
jazbe jo dil mein ubhre the sharminda kar gae

dil ki fazaen aa ke kabhi KHud bhi dekh lo
tum ne jo dagh baKHshe the kya kya nikhar gae

tere badan ki lau mein karishma numu ka tha
ghunche jo teri sej pe jage sanwar gae

sadiyon mein chand phul khile aur samar bane
lamhon mein aandhiyon ke thapeDon se mar gae

shab bhar badan manate rahe jashn-e-mahtab
aai sahar to jaise andheron se bhar gae

mahfil mein teri aae the lekar nazar ki pyas
mahfil se teri le ke magar chashm-e-tar gae

qatre ki juraton ne sadaf se liya KHiraj
dariya samundaron mein mile aur mar gae