pahli bar wo KHat likkha tha
jis ka jawab bhi aa sakta tha
KHud afwah uData tha main
KHud hi yaqin bhi kar leta tha
us se kaho us rup mein aae
jaisa pahli nazar mein laga tha
bhul chuka tha de ke sada main
tab jangal ka jawab aaya tha
hum to parae the is ghar mein
hum se kaun KHafa hota tha
TuT gae is koshish mein hum
apni taraf jhukna chaha tha
ulajh rahi thi aankh kahin par
koi mujhe pahchan raha tha
TuT gaya phir gham ka nasha bhi
dukh kitna sukh de sakta tha
jagah jagah se TuT raha hun
kis ne mujhe chhu kar dekha tha
kitne sachche dil se hum ne
apna apna jhuT kaha tha
pahli bar main us ki KHatir
apne liye kuchh soch raha tha
itne samjhane wale the
main kuchh kaise samajh sakta tha
baDi baDi aankhon mein us ki
koi sawal hua karta tha
Ghazal
Pahli bar wo KHat likkha tha
Shariq Kaifi