pahle to dam-e-zulf mein uljha liya mujhe
bhule se phir kabhi na dilasa diya mujhe
kya dardnak manzar-e-kashti tha rud mein
main na-KHuda ko dekh raha tha KHuda mujhe
baiTha hua hai rashk-e-masiha mere qarib
kas bebasi se dekh rahi hai qaza mujhe
un ka bayan meri zaban par jo aa gaya
lahje ne un ke kar diya kya KHush-nawa mujhe
jin ko rahi sada mere marne ki aarzu
jine ki de rahe hain wahi ab dua mujhe
jaane ka waqt aaya to aai sada-e-haq
muddat se aarzu thi mile ham-nawa mujhe
har baam-o-dar se ek ishaara hai roz-o-shab
ne main wafa ko chhoD saka ne wafa mujhe
duniya ne kitne mujh ko dikhae hain sabz bagh
un se na koi kar saka lekin juda mujhe
KHushbu se kis ki mahak rahe hain masham-e-jaan
daman se de raha hai koi to hawa mujhe
taswir us ke hath mein lab par meri ghazal
dekha na ek aankh na jis ne suna mujhe
fard-e-amal mein meri hon shamil sab un ke jaur
un ke kiye ki shauq se dije saza mujhe
meri wafa ka un ko mile hashr mein sila
mil jaen un ke nam ke jaur-o-jafa mujhe
har rose mujh ko apna badalna paDa jawab
rose ek sabaq paDhata hai qasid naya mujhe
dekha tumhaari shakl mein husn-e-azal ki zau
sajda tumhaare dar pe hua hai rawa mujhe
jhonka koi nasim ka 'gulzar'-e-naz mein
un ka payam kash sunae saba mujhe
Ghazal
Pahle to dam-e-zulf mein uljha liya mujhe
Gulzar Dehlvi