pahle tha mohabbat ka guman so wo yaqin hai
be-tabi-e-dil hae ye be-wajh nahin hai
ai wae tere ruKH pe usi waqt nazar ki
jab dekh liya teri nazar aur kahin hai
jab tak the teri bazm mein dekha kiye tujh ko
aur ab jo nazar hai nazar-e-baz-pasin hai
akasr nazar aata hai teri bazm mein 'hamid'
duniya ye samajhti hai ki wo gosha-nashin hai
Ghazal
Pahle tha mohabbat ka guman so wo yaqin hai
Syed Hamid

