اردو हिंदी
Pahle si ab baat kahan hai | Shaahi Shayari
pahle si ab baat kahan hai

Ghazal

Pahle si ab baat kahan hai

Hasan Rizvi

;

pahle si ab baat kahan hai
wo din aur wo raat kahan hai

baaten jaise patjhaD patjhaD
sochon ki baraat kahan hai

sare mausam ek hue hain
wo rut wo barsat kahan hai

us ka chehra jaise sarson
aankhon mein wo baat kahan hai

ek shab main ne hi puchha tha
ai rab teri zat kahan hai

qarya qarya jo lahraya
wo parcham wo hat kahan hai

main baadal tu sahra 'rizwi'
tera mera sat kahan hai