اردو हिंदी
Pahle sharma ke mar Dala | Shaahi Shayari
pahle sharma ke mar Dala

Ghazal

Pahle sharma ke mar Dala

Bedam Shah Warsi

;

pahle sharma ke mar Dala
phir samne aa ke mar Dala

saqi na pilai tune aaKHir
tarsa tarsa ke mar Dala

isa the to marne hi na dete
tum ne to jila ke mar Dala

bimar-e-alam ko tu ne naseh
samjha samjha ke mar Dala

KHanjar kaisa faqat ada se
taDpa taDpa ke mar Dala

yaad-e-gesu ne hijr ki shab
uljha uljha ke mar Dala

furqat mein tere gham-o-alam ne
tanha mujhe pa ke mar Dala

KHanjar na mila to us ne 'bedam'
aankhen dikhla ke mar Dala