اردو हिंदी
Pahle qabristan aata hai phir apni basti aati hai | Shaahi Shayari
pahle qabristan aata hai phir apni basti aati hai

Ghazal

Pahle qabristan aata hai phir apni basti aati hai

Farhat Ehsas

;

pahle qabristan aata hai phir apni basti aati hai
jaane kitni qabron se ho kar sham-e-hasti aati hai

chaDh kar sari sharaben jab auqat pe apni aa jati hain
chaDhta hai dariya-e-KHun aur miTTi ko masti aati hai

raushni us ki Dak se aane mein to zamane lag jate hain
is dauran ek nur ki chiTThi kabhi kabhi dasti aati hai

bazar-e-hasti jate hain kya kya KHwahish le kar lekin
maut KHarid ke le aate hain kyun ki zara sasti aati hai

kachchi miTTi ke 'farhat-ehsas' zara pani mein sambhal kar
dariya mein tum KHub nahate ho jab bhi masti aati hai