اردو हिंदी
Pahle mujhko bhi KHayal-e-yar ka dhoka hua | Shaahi Shayari
pahle mujhko bhi KHayal-e-yar ka dhoka hua

Ghazal

Pahle mujhko bhi KHayal-e-yar ka dhoka hua

Zeb Ghauri

;

pahle mujh ko bhi KHayal-e-yar ka dhoka hua
dil magar kuchh aur hi aalam mein tha khoya hua

dil ki surat ghaT rahi hai Dubte suraj ki lau
uTh raha hai kuchh dhuan sa dur bal khata hawa

main ne betabana baDh kar dasht mein aawaz di
jab ghubar uTTha kisi diwane ka dhoka hua

nind uchaT jaegi in matwali aankhon ki na sun
meri hasti ka fasana hai bahut uljha hua

dil se Takra jati hai rah rah ke koi mauj 'zeb'
shab ka sannaTa koi bahta hua dariya hua