pahchan ka asasa wo jab haar aaega
chehre nae KHaridne bazar aaega
rangon ke qafile nahin ab mere ham-safar
hamrah ek barg-e-azza-dar aaega
namus-e-subh-e-karbala apni rida sambhaal
chal kar abhi to sham ka darbar aaega
diwar o dar mein der se sargoshiyan si hain
fateh qabilon ka koi sardar aaega
maftuh bastiyon pe hai yalghaar ki ghaDi
galiyon mein ek lashkar-e-jarrar aaega
main sang-e-rah nahin jo uTha kar tu phenk de
main aisa marhala hun jo sau bar aaega
bachche jawan ho gae na-taqati ke sath
kab bazuon mein zor-e-alamdar aaega
Ghazal
Pahchan ka asasa wo jab haar aaega
Musavvir Sabzwari

