pahaDon ko bichha dete kahin khai nahin milti
magar unche qadam rakhne ko unchai nahin milti
akela chhoDta kab hai kisi ko la-shuur-e-tan
kisi tanhai mein bharpur tanhai nahin milti
ghanimat hai ki hum ne chashm-e-hasrat pal rakkhi hai
zamane ko ye hasrat bhi mere bhai nahin milti
fusun-e-reg mein maujen bhi hain daldal bhi hote hain
magar sahra samundar the ye sachchai nahin milti
teri KHalis kiran ki aag hai taif-e-tasawwur mein
quzah banti nahin mujh mein to binai nahin milti
nichoDi ja chuki hai miTTi ikahra ho gaya pani
anasir mil bhi jate hain to ranai nahin milti
ghazal kah ke sukun 'tafzil' milta hai magar miTTi
ise lawa ugal kar bhi shakebai nahin milti

Ghazal
PahaDon ko bichha dete kahin khai nahin milti
Tafzeel Ahmad